Saturday, July 9, 2011

Halke hawa chali, jhumke baarish aai
kisika aanchal uda, kisiki palke bhingi
kisike dilne roke, kisiko yaad kiya
uska saath na chhute, kisine fariyaad kiya

jubaan ki chuppi jo keh na paai
chhalakti aankhon se wo chhupaate na bana
bohot roka duniyadaari ne magar
aansu aur kaajal ka kuchh afsana sa bana

aandhi aa kar sab ujaar kar gai
aur koi chain ki nind sota raha
kisiko aawaj sunaai vi na di
aur dil khamosh rota raha

No comments:

Post a Comment